Saturday, August 25, 2012

MAIN SAMANDARON KA MIZAJ HOON


“MAIN SAMANDARON KA MIZAJ HOON”
     -writeen by ashok mizaj

mujhe khushi hai ki meri ye ghazal pakistan main bahut pasand ki gai aur wahan ke logon ne apne apne naam se siteon par post kiya hai meri original ghazal apke liye pesh hai..........


Main samandron ka mizaj hon,

abhi us nadi ko pata nahi

Sabhi mujh se aa ke lipat gayeen,

main kise se ja ke mila nahi.

Mere dil ki simt na dekh tu,

kise aur ka ye makaam he.

Yahan us ki yaaden makeem hain,

ye kisi ko maine diya nahi.

Mujhe dekh kar na jhuka nazar,

na kiwad dil k tu band kar.

Tere ghar men aaonga kis tarha,

ke main admi hon hawa nahi.

meri umr bhar ki thakawatein toh palak jhapakte utar gayein,

mujhe itne pyar se aaj tak kisi doosre ne chhua nahi

mere dil ko khushboo se bhar gaya,

wo kareeb se yun guzar gaya,

wo meri nazar main toh phool hai,

use kya laga main pata nahi

Ye “mizaj” Ab b sawal he,

ki ye berukhi he k pyar he?

Kabhi pas us k gaya nahi

kabhi door us se raha nahi.

written by shayar ashok mizaj of sagar mp
plz refer ashokmizaj.com for more ghazals
n read aawaz on google online...