Saturday, December 22, 2012

A ghazal on Delhi Rape Case - Ashok Mizaj

ghazal taza ghatna par

HAWAS PARAST KI SHAITANIYA YE KYA JAANEN
GHARON ME BAITHI HUI LADKIYAN YE KYA JAANEN

YE GHAR GHAREEB KA HAI YA KISI AMEER KA HAI
FALAK SE GIRTI HUI BIJLIYAN YE KYA JAANEN

EK AADH ROZ RANGE HAATH PAKDI JAAYENGIN
GULON PE BAITHI HUI TITALIYAN YE KYA JAANEN

BUDHAPA UN PE BHI AAKHIR KABHI TO AAYEGA
JAWAAN HOTI HUI PEEDHIYAN YE KYA JAANEN

HAR EK SHAKHSH YAHAN ASLIYAT SE WAQIF HAI
SAFED POSH BADI HASTIYAN YE KYA JAANEN

ASHOK MIZAJ


Tuesday, November 27, 2012

Wo meri Dua - Ashok Mizaj

ashok mizaj

ashok mizaj

हवा में शामिल है - Ashok Mizaj


हवा में शामिल है

नज़र से दूर है लेकिन फ़िज़ा में शामिल है
उसी के प्यार की ख़ुशबू हवा में शामिल है

मैं चाह कर भी तेरे पास आ नहीं सकता
कि दूर रहना भी मेरी वफ़ा में शामिल है

ख़ज़ाने ग़म के मेरे दिल में दफ़्न हैं यारो
ये मुस्कुराना तो मेरी अदा में शामिल है

ख़ुदा करे कि ये उसको कभी पता न चले
कि बेबसी भी हमारी रज़ा में शामिल है

तेरे सुलूक ने जीना सिखा दिया लेकिन
तेरे बग़ैर ये जीना सज़ा में शामिल है
ASHOK MIZAJ

Saturday, August 25, 2012

MAIN SAMANDARON KA MIZAJ HOON


“MAIN SAMANDARON KA MIZAJ HOON”
     -writeen by ashok mizaj

mujhe khushi hai ki meri ye ghazal pakistan main bahut pasand ki gai aur wahan ke logon ne apne apne naam se siteon par post kiya hai meri original ghazal apke liye pesh hai..........


Main samandron ka mizaj hon,

abhi us nadi ko pata nahi

Sabhi mujh se aa ke lipat gayeen,

main kise se ja ke mila nahi.

Mere dil ki simt na dekh tu,

kise aur ka ye makaam he.

Yahan us ki yaaden makeem hain,

ye kisi ko maine diya nahi.

Mujhe dekh kar na jhuka nazar,

na kiwad dil k tu band kar.

Tere ghar men aaonga kis tarha,

ke main admi hon hawa nahi.

meri umr bhar ki thakawatein toh palak jhapakte utar gayein,

mujhe itne pyar se aaj tak kisi doosre ne chhua nahi

mere dil ko khushboo se bhar gaya,

wo kareeb se yun guzar gaya,

wo meri nazar main toh phool hai,

use kya laga main pata nahi

Ye “mizaj” Ab b sawal he,

ki ye berukhi he k pyar he?

Kabhi pas us k gaya nahi

kabhi door us se raha nahi.

written by shayar ashok mizaj of sagar mp
plz refer ashokmizaj.com for more ghazals
n read aawaz on google online...